Friday, March 4, 2011

Pyaasa Verses

Tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagi se hum
Thukraa na de jahaan ko kahin bedilli se hum
Hum gham-zadaa hain, layein kahan se khushi ke geet,
Kahan se khushi ke geet,
Denge wohi jo paayenge is zindagi se hum.
Ubhrenge ek baar abhi dil ke valvale
Abhi dil ke vavale
Maana ke dab gaaye hain gham-e-zindagi se hum.
Lo aaj humne tod diya
Lo aaj humne tod diya rishta-e-umeed
Rishta -e-umeed
Lo ab kabhi ghilaa na karenge kisi se hum.
------------------------------------------------------------------------------
Main phool taank raha hun tumhare joode mein,
Tumhari aankh massarat se jhukti jaati hai.
Na jaane aaj main kya baat kehne wala hun,
Zaban khushk hai, aawaz rukti jaati hai.
Khayal-o-khwaab ki parchhaiyaan ubharti hain,
Mere gale mein tumhari udaas baahein hain,
Tumhare hothon pe mere labon ke saaye hain.
Tumhe yakeen ke hum ab kabhi na bichhadenge,
Mujhe ghuman ke hum milke bhi paraye hain.
Khayal-o-khwaab ki parchhaiyaan ubharti hain.
-------------------------------------------------------------------------------
Zaraa mulk ke raahbaron ko bulaao,
Ye kooche ye galiyaan ye manzar dikhaao,
Jinhe naaz hai Hind par unko laao.
Jinhe naaz hai Hind par, woh kahaan hain?
Kahaan hain, kahaan hain, kahaan hain?
~ Sahir Ludhiyanawi

1 comment:

  1. "Hum se bhagti rahi ye tezgaam umr,
    Khwabon ke asare pe kati hai tamaam umr"

    Hurray for another Sahir poem on a blog. Beautiful writing.

    -Accidental voyeur

    ReplyDelete